aisa lagta hai kisi gumbad se Takrai na thi
aisā lagtā hai kisī gumbad se Takrā.ī na thī
varna kab āvāz merī lauT kar aa.ī na thī
thā tirī qurbat kī āñkhoñ meñ har ik nashsha magar
niiñd se jaagī huī yādoñ kī añgḌā.ī na thī
ham ko andhā kar ga.ī thī ek gahrī raushnī
zulmatoñ kī zad meñ aa kar aañkh pathrā.ī na thī
qaid thā kyuuñ chāñd sadiyoñ se hisār-e-abr meñ
kyuuñ ujāloñ ne use poshāk pahnā.ī na thī
jal gayā apne hī andar kī harārat se badan
sūrajoñ ne ham pe koī aag barsā.ī na thī
tere siine meñ tirā ḳhuuñ barf kaise ho gayā
kyā tire andar harārat kī tavānā.ī na thī
aisa lagta hai kisi gumbad se Takrai na thi
warna kab aawaz meri lauT kar aai na thi
tha teri qurbat ki aankhon mein har ek nashsha magar
nind se jagi hui yaadon ki angDai na thi
hum ko andha kar gai thi ek gahri raushni
zulmaton ki zad mein aa kar aankh pathrai na thi
qaid tha kyun chand sadiyon se hisar-e-abr mein
kyun ujalon ne use poshak pahnai na thi
jal gaya apne hi andar ki hararat se badan
surajon ne hum pe koi aag barsai na thi
tere sine mein tera KHun barf kaise ho gaya
kya tere andar hararat ki tawanai na thi
- Book : Mujalla Dastavez (Pg. 602)
- Author : Aziz Nabeel
- Publication : Edarah Dastavez (2013-14)
- Edition : 2013-14
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.