aisa lagta hai mere dil pe nazar rakhte hain
aisā lagtā hai mire dil pe nazar rakhte haiñ
mere shāne pe mohabbat se vo sar rakhte haiñ
un ko aatā hai mohabbat ko chhupāne kā hunar
dil vo rakhte haiñ ba-andāz-e-dīgar rakhte haiñ
raushnī hotī hai jab baat vo karte haiñ kahīñ
fikr meñ apnī jo anvār-e-sahar rakhte haiñ
ḳhud-ba-ḳhud miltā hai un logoñ ko manzil kā patā
jo qadam raah pe be-ḳhauf-o-ḳhatar rakhte haiñ
aa.e vo jis kī adāoñ meñ hai ḳhūbī-e-chaman
apne dil meñ yahī armāñ gul-e-tar rakhte haiñ
ham ko mālūm hai is vaqt kahāñ hai vo 'suhail'
be-ḳhabar ḳhud se hai ham us kī ḳhabar rakhte haiñ
aisa lagta hai mere dil pe nazar rakhte hain
mere shane pe mohabbat se wo sar rakhte hain
un ko aata hai mohabbat ko chhupane ka hunar
dil wo rakhte hain ba-andaz-e-digar rakhte hain
raushni hoti hai jab baat wo karte hain kahin
fikr mein apni jo anwar-e-sahar rakhte hain
KHud-ba-KHud milta hai un logon ko manzil ka pata
jo qadam rah pe be-KHauf-o-KHatar rakhte hain
aae wo jis ki adaon mein hai KHubi-e-chaman
apne dil mein yahi arman gul-e-tar rakhte hain
hum ko malum hai is waqt kahan hai wo 'suhail'
be-KHabar KHud se hai hum us ki KHabar rakhte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.