aisa mumkin hi nahin tha main pukara jata
aisā mumkin hī nahīñ thā maiñ pukārā jaatā
maiñ na jaatā to koī aur hī maarā jaatā
lazzat-e-vasl se achchhī thī vo girya-zārī
ab to is jiit se behtar thā maiñ haarā jaatā
ibn-e-ādam huuñ sar-andīp ke sāhil pe khaḌā
merī ḳhātir koī duniyā meñ utārā jaatā
us kī āñkhoñ se paḌhe the jo sahīfe maiñ ne
un sahīfoñ se koī naqsh ubhārā jaatā
ham junūñ-ḳhez marāhil se na guzre varna
ham jidhar jaate udhar vaqt kā dhārā jaatā
sunñā chāhoge fanā hote hue shaḳhs kā ḳhvāb
jis kī hasrat thī tire naam pe vaarā jaatā
gar Dubotā vo mujhe ḳhud bhī na bachtā dariyā
maiñ jo tūfān meñ Dhaltā to kināra jaatā
'ishq vāloñ hī se nisbat mirī likkhī jaatī
terī galiyoñ meñ 'safī' kaash guzārā jaatā
aisa mumkin hi nahin tha main pukara jata
main na jata to koi aur hi mara jata
lazzat-e-wasl se achchhi thi wo girya-zari
ab to is jit se behtar tha main haara jata
ibn-e-adam hun sar-andip ke sahil pe khaDa
meri KHatir koi duniya mein utara jata
us ki aankhon se paDhe the jo sahife main ne
un sahifon se koi naqsh ubhaara jata
hum junun-KHez marahil se na guzre warna
hum jidhar jate udhar waqt ka dhaara jata
sunna chahoge fana hote hue shaKHs ka KHwab
jis ki hasrat thi tere nam pe wara jata
gar Dubota wo mujhe KHud bhi na bachta dariya
main jo tufan mein Dhalta to kinara jata
'ishq walon hi se nisbat meri likkhi jati
teri galiyon mein 'safi' kash guzara jata
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.