aisa na mujhko KHwab-e-pareshan dikhai de
aisā na mujh ko ḳhvāb-e-pareshāñ dikhā.ī de
kashtī ho jis jagah vahīñ tūfāñ dikhā.ī de
yuuñ be-naqāb āriz-e-jānāñ dikhā.ī de
har zarra āftāb-ba-dāmāñ dikhā.ī de
vo mast-e-nāz-e-husn jahāñ jalva-bār ho
shām-e-balā bhī sub.h-e-bahārāñ dikhā.ī de
ḳhud.dār huuñ vo ishq mirā ishq hī nahīñ
jo mubtalā-e-minnat-e-darbāñ dikhā.ī de
us pārsā ko lā ke Dubo de sharāb meñ
saaqī jo mai-kade meñ gurezāñ dikhā.ī de
merā junūñ nahīñ hai jo mausam ke faiz se
sharminda-e-bahār-e-gulistāñ dikhā.ī de
us ke junūn-e-ishq kā aalam na pūchhiye
har phuul jis ko āriz-e-jānāñ dikhā.ī de
'shabbīr' ko yaqīñ hai ki aa.e agar vo shoḳh
kāñToñ kī sarzamīñ bhī gulistāñ dikhā.ī de
aisa na mujh ko KHwab-e-pareshan dikhai de
kashti ho jis jagah wahin tufan dikhai de
yun be-naqab aariz-e-jaanan dikhai de
har zarra aaftab-ba-daman dikhai de
wo mast-e-naz-e-husn jahan jalwa-bar ho
sham-e-bala bhi subh-e-bahaaran dikhai de
KHuddar hun wo ishq mera ishq hi nahin
jo mubtala-e-minnat-e-darban dikhai de
us parsa ko la ke Dubo de sharab mein
saqi jo mai-kade mein gurezan dikhai de
mera junun nahin hai jo mausam ke faiz se
sharminda-e-bahaar-e-gulistan dikhai de
us ke junun-e-ishq ka aalam na puchhiye
har phul jis ko aariz-e-jaanan dikhai de
'shabbir' ko yaqin hai ki aae agar wo shoKH
kanTon ki sarzamin bhi gulistan dikhai de
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.