aisa nahin humse kabhi laghzish nahin hoti
aisā nahīñ ham se kabhī laġhzish nahīñ hotī
par jhūTī kabhī ham se numā.ish nahīñ hotī
kaliyāñ bhī na.ī suukh ke murjhā ga.iiñ ab to
muddat se mire shahr meñ bārish nahīñ hotī
dhartī kabhī kāñpī kabhī ākāsh bhī larzā
ik shaḳhs ko lekin zarā jumbish nahīñ hotī
khodoge zamīñ roz to niklegā dafīna
koshish jise kahte haiñ vo koshish nahīñ hotī
maanā tire dar se koī ḳhālī nahīñ jaatā
'saifī' ye magar koī navāzish nahīñ hotī
aisa nahin hum se kabhi laghzish nahin hoti
par jhuTi kabhi hum se numaish nahin hoti
kaliyan bhi nai sukh ke murjha gain ab to
muddat se mere shahr mein barish nahin hoti
dharti kabhi kanpi kabhi aakash bhi larza
ek shaKHs ko lekin zara jumbish nahin hoti
khodoge zamin roz to niklega dafina
koshish jise kahte hain wo koshish nahin hoti
mana tere dar se koi KHali nahin jata
'saifi' ye magar koi nawazish nahin hoti
- Book : Aiwan (Pg. 53)
- Author : Manazir Ashiq Harganvi & Shahid Nayeem
- Publication : Nirali Duniya (1998)
- Edition : 1998
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.