aisa nahin karna kabhi waisa nahin karna
aisā nahīñ karnā kabhī vaisā nahīñ karnā
ik baar batā do mujhe kyā kyā nahīñ karnā
kal maiñ ne kahā thā na tumheñ bhuul chukā huuñ
vo jhuuT thā tum us pe bharosa nahīñ karnā
ḳhud ko to bhulā baiThā huuñ tum ko bhī bhulā duuñ
itnā bhī mujhe apnā ḳhasāra nahīñ karnā
ai chārāgaro dard mirā us kī atā hai
rahne do mujhe is kā mudāvā nahīñ karnā
pūchhā jo sabab zabt kā phir phuuT paḌeñgī
ab chhoḌo mujhe āñkhoñ ko dariyā nahīñ karnā
nīñdeñ mirī rāteñ mire sapne mire aañsū
jaao bhī mujhe un kā taqāzā nahīñ karnā
aisa nahin karna kabhi waisa nahin karna
ek bar bata do mujhe kya kya nahin karna
kal main ne kaha tha na tumhein bhul chuka hun
wo jhuT tha tum us pe bharosa nahin karna
KHud ko to bhula baiTha hun tum ko bhi bhula dun
itna bhi mujhe apna KHasara nahin karna
ai chaaragaro dard mera us ki ata hai
rahne do mujhe is ka mudawa nahin karna
puchha jo sabab zabt ka phir phuT paDengi
ab chhoDo mujhe aankhon ko dariya nahin karna
ninden meri raaten mere sapne mere aansu
jao bhi mujhe un ka taqaza nahin karna
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.