aisa nahin ki shoabada achchha nahin hua
aisā nahīñ ki sho.abada achchhā nahīñ huā
hairān yuuñ haiñ vo ki maiñ chauñkā nahīñ huā
hālāñki haar jiit usī par thī munhasir
lekin kabhī vo khel kā hissa nahīñ huā
vo raushnī bhī ek hī pal ke liye rukī
ham se bhī ain vaqt pe dar vā nahīñ huā
vo saḳht tīrgī thī ki sūraj ke saath saath
ham bhī jale agarche ujālā nahīñ huā
phir yuuñ huā ki ham hue duhrāo ke shikār
aur shā.erī meñ koī izāfa nahīñ huā
aisa nahin ki shoabada achchha nahin hua
hairan yun hain wo ki main chaunka nahin hua
haalanki haar jit usi par thi munhasir
lekin kabhi wo khel ka hissa nahin hua
wo raushni bhi ek hi pal ke liye ruki
hum se bhi ain waqt pe dar wa nahin hua
wo saKHt tirgi thi ki suraj ke sath sath
hum bhi jale agarche ujala nahin hua
phir yun hua ki hum hue duhrao ke shikar
aur shaeri mein koi izafa nahin hua
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.