aisa nahin ki tujhse shikayat nahin mujhe
aisā nahīñ ki tujh se shikāyat nahīñ mujhe
ḳhud ko gañvā ke terī zarūrat nahīñ mujhe
is Dagmagātī naav pe sāhil kī aarzū
aa.ī samajh meñ ab bhī siyāsat nahīñ mujhe
pathrāv ho rahā hai mirī samt is liye
kahtā huuñ sach ki jhuuT kī aadat nahīñ mujhe
ab maiñ jo multajī huuñ to vo multafit nahīñ
kahte haiñ baar baar ki fursat nahīñ mujhe
kuchh mujh meñ buzdilī ke anāsir zarūr haiñ
is se murād apnī sharāfat nahīñ mujhe
bahlā rahā huuñ ḳhud ko ġham-e-rozgār se
kyā ab junūn-e-shauq-o-mohabbat nahīñ mujhe
sab kuchh mafāriqat kī ri.āyat se kah diye
kahte the jo ki sabr-o-qanā.at nahīñ mujhe
matlab-parast logoñ meñ guzrī hai ek umr
bejā karam pe aap ke hairat nahīñ mujhe
makr-o-fareb-o-ta.ana-o-tohmat se duur huuñ
mash.hūr ye hai ḳhvāhish-e-jannat nahīñ mujhe
miltā huuñ ik tavārud-e-ḳhātir ko shāna-kash
maqsūd is se dil kī hifāzat nahīñ mujhe
sham.a-e-umīd-e-vasl munavvar hai 'sarfarāz'
tūl-e-shab-e-firāq se vahshat nahīñ mujhe
aisa nahin ki tujh se shikayat nahin mujhe
KHud ko ganwa ke teri zarurat nahin mujhe
is Dagmagati naw pe sahil ki aarzu
aai samajh mein ab bhi siyasat nahin mujhe
pathraw ho raha hai meri samt is liye
kahta hun sach ki jhuT ki aadat nahin mujhe
ab main jo multaji hun to wo multafit nahin
kahte hain bar bar ki fursat nahin mujhe
kuchh mujh mein buzdili ke anasir zarur hain
is se murad apni sharafat nahin mujhe
bahla raha hun KHud ko gham-e-rozgar se
kya ab junun-e-shauq-o-mohabbat nahin mujhe
sab kuchh mafariqat ki riayat se kah diye
kahte the jo ki sabr-o-qanaat nahin mujhe
matlab-parast logon mein guzri hai ek umr
beja karam pe aap ke hairat nahin mujhe
makr-o-fareb-o-tana-o-tohmat se dur hun
mashhur ye hai KHwahish-e-jannat nahin mujhe
milta hun ek tawarud-e-KHatir ko shana-kash
maqsud is se dil ki hifazat nahin mujhe
shama-e-umid-e-wasl munawwar hai 'sarfaraaz'
tul-e-shab-e-firaq se wahshat nahin mujhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.