aisa nahin milega kahin be-qarar dil
aisā nahīñ milegā kahīñ be-qarār dil
āshuftagī kā maarā huā sogvār dil
bāzār bhī hai dair-o-haram bhī haiñ ishq bhī
jhele to jhele kitnā ġham-e-rozgār dil
kuchh roz se vo ḳhasta-tanī hai ki kyā kahūñ
siina rafū kiyā to huā tār-tār dil
thā ik ḳhayāl us kā so vo bhī chalā gayā
kis se nikāle jā ke bhalā ab ġhubār-e-dil
bas ek sang-e-dar se rahā rishta umr-bhar
aisā nahīñ milegā ibādat-guzār dil
terī hī be-niyāz adā kā asar ye hai
ab ḳhud hī DhūñDhne lagā rāh-e-farār dil
is shahr-e-rang-o-nūr se aage nikal gayā
ab jā chukā hai ishq-e-majāzī ke paar dil
aisa nahin milega kahin be-qarar dil
aashuftagi ka mara hua sogwar dil
bazar bhi hai dair-o-haram bhi hain ishq bhi
jhele to jhele kitna gham-e-rozgar dil
kuchh roz se wo KHasta-tani hai ki kya kahun
sina rafu kiya to hua tar-tar dil
tha ek KHayal us ka so wo bhi chala gaya
kis se nikale ja ke bhala ab ghubar-e-dil
bas ek sang-e-dar se raha rishta umr-bhar
aisa nahin milega ibaadat-guzar dil
teri hi be-niyaz ada ka asar ye hai
ab KHud hi DhunDhne laga rah-e-farar dil
is shahr-e-rang-o-nur se aage nikal gaya
ab ja chuka hai ishq-e-majazi ke par dil
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.