aisa to yahan kuchh bhi nahin hadd-e-nazar tak
aisā to yahāñ kuchh bhī nahīñ hadd-e-nazar tak
ham ko to pahuñchnā thā kisī ḳhvāb-nagar tak
ab paañv nahīñ raah meñ dil thakne lagā hai
lekin hameñ chalnā to hai anjām-e-safar tak
ham shor bhī sunte haiñ samā.at se bahut kam
āvāz bhī jaatī hai to bas hadd-e-nazar tak
mumkin hai maiñ ab sabr kā ye peḌ girā duuñ
jab haath pahuñchtā hī nahīñ shāḳh-e-samar tak
ham apne hī mausam se parakhte haiñ jahāñ ko
māhaul kā lete hī nahīñ koī asar tak
maiñ apne hī andar kī taraf chīḳh rahā huuñ
ab dekhiye jaatī hai ye āvāz kidhar tak
aisa to yahan kuchh bhi nahin hadd-e-nazar tak
hum ko to pahunchna tha kisi KHwab-nagar tak
ab panw nahin rah mein dil thakne laga hai
lekin hamein chalna to hai anjam-e-safar tak
hum shor bhi sunte hain samaat se bahut kam
aawaz bhi jati hai to bas hadd-e-nazar tak
mumkin hai main ab sabr ka ye peD gira dun
jab hath pahunchta hi nahin shaKH-e-samar tak
hum apne hi mausam se parakhte hain jahan ko
mahaul ka lete hi nahin koi asar tak
main apne hi andar ki taraf chiKH raha hun
ab dekhiye jati hai ye aawaz kidhar tak
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.