aisa wo zindagi ka qalaq de gaya mujhe
aisā vo zindagī kā qalaq de gayā mujhe
maiñ us ko bhuul jā.ūñ ye haq de gayā mujhe
us se bichhaḌ ke ho gayā duniyā-shanās maiñ
vo saare zindagī ke sabaq de gayā mujhe
pahle to us ne haath meñ mere qalam diyā
phir chalte chalte saada varaq de gayā mujhe
ḳhud to vo jā ke ḳhaak ke bistar pe so gayā
apnī bulandiyoñ ke ufaq de gayā mujhe
kitne hasīn us kī mohabbat ke rang the
jab shaam ho ga.ī to shafaq de gayā mujhe
aisa wo zindagi ka qalaq de gaya mujhe
main us ko bhul jaun ye haq de gaya mujhe
us se bichhaD ke ho gaya duniya-shanas main
wo sare zindagi ke sabaq de gaya mujhe
pahle to us ne hath mein mere qalam diya
phir chalte chalte sada waraq de gaya mujhe
KHud to wo ja ke KHak ke bistar pe so gaya
apni bulandiyon ke ufaq de gaya mujhe
kitne hasin us ki mohabbat ke rang the
jab sham ho gai to shafaq de gaya mujhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.