aise aabaad hun duniya mein ki barbaad hun main
aise aabaad hun duniya mein ki barbaad hun main
Daniyal Haider Jafri
MORE BYDaniyal Haider Jafri
aise ābād huuñ duniyā meñ ki barbād huuñ maiñ
dil mirā ḳhush hai magar mā.il-e-fariyād huuñ maiñ
maiñ giraftār parindoñ ko bhī āzād karūñ
aur duniyā ye samajhtī hai ki sayyād huuñ maiñ
log sīkheñge mohabbat ke salīqe mujh se
jān-e-jāñ rāñjhā-o-majnūñ kā bhī ustād huuñ maiñ
tū to shīrīñ ke kaf-e-pā ke barābar bhī nahīñ
kyā taqābul hai tirā mujh se ki farhād huuñ maiñ
'ishq ne hī mujhe jiine kā hunar baḳhshā hai
mat samajhnā ki yahāñ 'ishq meñ bedād huuñ maiñ
kyā lage koī mujhe yaad kare yā na kare
bas mujhe itnā hī kaafī hai use yaad huuñ maiñ
pūchh mat mujh se mire girya-o-mātam kā sabab
tere is tarh bichhaḌne pe hī nāshād huuñ maiñ
merā pūchhe jo pata koī batānā 'haidar'
us kī yādoñ ke hī ik shahr meñ ābād huuñ maiñ
aise aabaad hun duniya mein ki barbaad hun main
dil mera KHush hai magar mail-e-fariyaad hun main
main giraftar parindon ko bhi aazad karun
aur duniya ye samajhti hai ki sayyaad hun main
log sikhenge mohabbat ke saliqe mujh se
jaan-e-jaan ranjha-o-majnun ka bhi ustad hun main
tu to shirin ke kaf-e-pa ke barabar bhi nahin
kya taqabul hai tera mujh se ki farhad hun main
'ishq ne hi mujhe jine ka hunar baKHsha hai
mat samajhna ki yahan 'ishq mein bedad hun main
kya lage koi mujhe yaad kare ya na kare
bas mujhe itna hi kafi hai use yaad hun main
puchh mat mujh se mere girya-o-matam ka sabab
tere is tarh bichhaDne pe hi nashad hun main
mera puchhe jo pata koi batana 'haidar'
us ki yaadon ke hi ek shahr mein aabaad hun main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.