aise aalam mein guzari ki guzari na gai
aise aalam meñ guzārī ki guzārī na ga.ī
zindagī ham se kisī taur sañvārī na ga.ī
jab kisī bazm-e-tarab-nāk meñ jaanā chāhā
ḳhil.at-e-ranj-o-alam tan se utārī na ga.ī
maiñ us iqlīm-e-mohabbat kā huuñ shahzāda jahāñ
juz tire aur koī rāj-kumārī na ga.ī
mere hoñToñ ne tabassum kī adā siikh to lī
merī āñkhoñ se magar girya-o-zārī na ga.ī
tujh se bichhḌe haiñ magar ishq kahāñ ḳhatm huā
ye vo jiitī huī baazī hai jo haarī na ga.ī
tū hai vo ḳhvāb jo āñkhoñ se utārā na gayā
tū vo ḳhvāhish hai jo ham se kabhī maarī na ga.ī
aise aalam mein guzari ki guzari na gai
zindagi hum se kisi taur sanwari na gai
jab kisi bazm-e-tarab-nak mein jaana chaha
KHilat-e-ranj-o-alam tan se utari na gai
main us iqlim-e-mohabbat ka hun shahzada jahan
juz tere aur koi raj-kumari na gai
mere honTon ne tabassum ki ada sikh to li
meri aankhon se magar girya-o-zari na gai
tujh se bichhDe hain magar ishq kahan KHatm hua
ye wo jiti hui bazi hai jo haari na gai
tu hai wo KHwab jo aankhon se utara na gaya
tu wo KHwahish hai jo hum se kabhi mari na gai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.