aise aalam mein tujhe mujhse shikayat kaisi
aise aalam mein tujhe mujhse shikayat kaisi
Hasnain Asghar Tabassum
MORE BYHasnain Asghar Tabassum
aise aalam meñ tujhe mujh se shikāyat kaisī
sar hī jab jhuk gayā phir rasm-e-adāvat kaisī
terī rag-rag meñ hai jab dar-badarī kā nashsha
phir ye ehsās-e-anā kyā hai adāvat kaisī
sirf ik shaḳhs kī bātoñ kā bharam rakkhā hai
apne hī shahr se varna mirī hijrat kaisī
jab mudāvā-e-ġham-e-hijr kā imkāñ hī nahīñ
phir bhalā mere bikhar jaane pe hairat kaisī
ai tilism-e-rah-e-maqtal mirī āñkheñ mujhe de
qatl honā mirā virsa hai to vahshat kaisī
aise aalam mein tujhe mujh se shikayat kaisi
sar hi jab jhuk gaya phir rasm-e-adawat kaisi
teri rag-rag mein hai jab dar-badari ka nashsha
phir ye ehsas-e-ana kya hai adawat kaisi
sirf ek shaKHs ki baaton ka bharam rakkha hai
apne hi shahr se warna meri hijrat kaisi
jab mudawa-e-gham-e-hijr ka imkan hi nahin
phir bhala mere bikhar jaane pe hairat kaisi
ai tilism-e-rah-e-maqtal meri aankhen mujhe de
qatl hona mera wirsa hai to wahshat kaisi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.