Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

aise ghurbat mein baiTha hun jaise baDa bar-e-sar rakh diya

Mahshar Badayuni

aise ghurbat mein baiTha hun jaise baDa bar-e-sar rakh diya

Mahshar Badayuni

MORE BYMahshar Badayuni

    aise ġhurbat meñ baiThā huuñ jaise baḌā bār-e-sar rakh diyā

    ek sehn ek dar ek dīvār naam ghar rakh diyā

    is hunar par jo tum is qadar nukta-chīñ ho to maiñ kyā kahūñ

    mere mālik ne kyuuñ mujh meñ sachchā.iyoñ hunar rakh diyā

    maiñ ne shāḳheñ tarāshīñ bulandī-e-nashv-o-numā ke liye

    tum ko tesha milā tum ne to kaaT kar shajar rakh diyā

    tez-tar bād-e-ḳhud-sar chalī to yahāñ kaun ghaTī

    maiñ ne aur ik lahū se jalā kar diyā baam par rakh diyā

    merā hissa thā kyā dukh shanāsā.ī ke zaḳhm rusvā.ī ke

    vaqt ke rū-ba-rū maiñ ne saarā hisāb-e-safar rakh diyā

    kitne nādār dil tum ne Thukrā diye ye na sochā kabhī

    is mohabbat ne to pā-e-aflās par tāj-e-zar rakh diyā

    maiñ ne to apnā ḳhud likhā faisla log aise bhī the

    munsifī ke liye pā-e-nā-munsifī par bhī sar rakh diyā

    aise ghurbat mein baiTha hun jaise baDa bar-e-sar rakh diya

    ek sehn ek dar ek diwar ka nam ghar rakh diya

    is hunar par jo tum is qadar nukta-chin ho to main kya kahun

    mere malik ne kyun mujh mein sachchaiyon ka hunar rakh diya

    main ne shaKHen tarashin bulandi-e-nashw-o-numa ke liye

    tum ko tesha mila tum ne to kaT kar hi shajar rakh diya

    tez-tar baad-e-KHud-sar chali to yahan kaun si lu ghaTi

    main ne aur ek lahu se jala kar diya baam par rakh diya

    mera hissa tha kya dukh shanasai ke zaKHm ruswai ke

    waqt ke ru-ba-ru main ne sara hisab-e-safar rakh diya

    kitne nadar dil tum ne Thukra diye ye na socha kabhi

    is mohabbat ne to pa-e-aflas par taj-e-zar rakh diya

    main ne to apna KHud hi likha faisla log aise bhi the

    munsifi ke liye pa-e-na-munsifi par bhi sar rakh diya

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now