aise har shaKHs se naraaz KHuda rahta hai
aise har shaḳhs se nārāz ḳhudā rahtā hai
jo azaañ sun ke bhī bistar pe paḌā rahtā hai
kyā tumheñ us kī 'adāvat kā pata rahtā hai
ye jo dariyā hai samundar se milā rahtā hai
le chukā jo mujhe lenā thā zamīñ se ab to
āsmāñ terī taraf dhyān lagā rahtā hai
āp-bītī to bayāñ kartā huuñ apnī lekin
rang kyoñ aap ke chehre kā uḌā rahtā hai
chashm-e-darvesh meñ raushan hai basīrat kā charāġh
ġhaib kī baat kā bhī un ko patā rahtā hai
saikḌoñ us kī vakālat ko vakīl aate haiñ
mere hamrāh faqat merā ḳhudā rahtā hai
kaun hai jo ġham-e-daurāñ se bachātā hai mujhe
kis kā chehra mirī āñkhoñ meñ basā rahtā hai
jhuuT kī pusht pe miltā hai ḳhazāne kā vujūd
phir bhī 'kausar' hai ki sachchoñ meñ saTā rahtā hai
aise har shaKHs se naraaz KHuda rahta hai
jo azan sun ke bhi bistar pe paDa rahta hai
kya tumhein us ki 'adawat ka pata rahta hai
ye jo dariya hai samundar se mila rahta hai
le chuka jo mujhe lena tha zamin se ab to
aasman teri taraf dhyan laga rahta hai
aap-biti to bayan karta hun apni lekin
rang kyon aap ke chehre ka uDa rahta hai
chashm-e-darwesh mein raushan hai basirat ka charagh
ghaib ki baat ka bhi un ko pata rahta hai
saikDon us ki wakalat ko wakil aate hain
mere hamrah faqat mera KHuda rahta hai
kaun hai jo gham-e-dauran se bachata hai mujhe
kis ka chehra meri aankhon mein basa rahta hai
jhuT ki pusht pe milta hai KHazane ka wujud
phir bhi 'kausar' hai ki sachchon mein saTa rahta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.