aise harjai se koi kis tarah yari kare
aise harjā.ī se koī kis tarah yaarī kare
bhuul kar apnoñ ko jo ġhairoñ kī ġham-ḳhvārī kare
sab ke aage to banā phirtā hai vo ma.asūm sā
jab hamāre sāmne aa.e to makkārī kare
vo clerkī se taraqqī pā ke afsar ho gayā
harkateñ lekin abhī tak vo bhī bāzārī kare
afsarī kī dhaak kyā kam thī ki shā.ir ho gayā
shā.ir-e-sarkār hai kyoñ kaam sarkārī kare
achchhe achchhe kī uchhal jaatī hai pagḌī ishq meñ
paas ho izzat kā jis ko jaage ghar-dārī kare
kis qadar majbūr hai insān roTī ke liye
ruup dhāre nit-na.e kaisī adākārī kare
ḳhud hī uksā.e sharī.at ke liye vo mard-e-haq
log jab māñgeñ sharī.at to hadeñ jaarī kare
gaañv vāloñ kā gila hai shahr vāloñ se 'azīm'
shahr vaale aish uḌā.eñ mehnateñ haarī kare
aise harjai se koi kis tarah yari kare
bhul kar apnon ko jo ghairon ki gham-KHwari kare
sab ke aage to bana phirta hai wo masum sa
jab hamare samne aae to makkari kare
wo clerki se taraqqi pa ke afsar ho gaya
harkaten lekin abhi tak wo bhi bazari kare
afsari ki dhak kya kam thi ki shair ho gaya
shair-e-sarkar hai kyon kaam sarkari kare
achchhe achchhe ki uchhal jati hai pagDi ishq mein
pas ho izzat ka jis ko jage ghar-dari kare
kis qadar majbur hai insan roTi ke liye
rup dhaare nit-nae kaisi adakari kare
KHud hi uksae shariat ke liye wo mard-e-haq
log jab mangen shariat to haden jari kare
ganw walon ka gila hai shahr walon se 'azim'
shahr wale aish uDaen mehnaten haari kare
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.