aise hi din the kuchh aisi sham thi
aise hī din the kuchh aisī shaam thī
vo magar kuchh aur hañstī shaam thī
bah rahā thā surḳh sūraj kā jahāz
māñjhiyoñ ke giit gaatī shaam thī
sub.h se thiiñ ThanDī ThanDī bārisheñ
phir bhī vo kaisī sulagtī shaam thī
garm alaav meñ sulagtī sardiyāñ
dhīme dhīme hiir gaatī shaam thī
gher lete the tilā.ī dā.ere
pāniyoñ meñ bahtī bahtī shaam thī
arsh par hilte hue do haath the
sāhiloñ kī bhīgī bhīgī shaam thī
kitnī rātoñ ko hameñ yaad aa.egī
apnī iklautī suhānī shaam thī
shāḳh se har surḳh pattī gir ga.ī
phir vahī bojhal sī piilī shaam thī
chāñdī chāñdī raat ko yaad aa.egī
sonā sonā sī rañgīlī shaam thī
solahveñ ziine pe sūraj thā 'obaid'
january kī ik salonī shaam thī
aise hi din the kuchh aisi sham thi
wo magar kuchh aur hansti sham thi
bah raha tha surKH suraj ka jahaz
manjhiyon ke git gati sham thi
subh se thin ThanDi ThanDi barishen
phir bhi wo kaisi sulagti sham thi
garm alaw mein sulagti sardiyan
dhime dhime hir gati sham thi
gher lete the tilai daere
paniyon mein bahti bahti sham thi
arsh par hilte hue do hath the
sahilon ki bhigi bhigi sham thi
kitni raaton ko hamein yaad aaegi
apni iklauti suhani sham thi
shaKH se har surKH patti gir gai
phir wahi bojhal si pili sham thi
chandi chandi raat ko yaad aaegi
sona sona si rangili sham thi
solahwen zine pe suraj tha 'obaid'
january ki ek saloni sham thi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.