aise hote hain sar-e-sham numudar charagh
aise hote haiñ sar-e-shām numūdār charāġh
jaise Dhalte hue sūraj ke azādār charāġh
ek hī aag meñ jalte haiñ yahāñ ham donoñ
mirā kirdār patangā tirā kirdār charāġh
karbalā aur bhalā kis ko yahāñ kahte haiñ
nok-e-neza pe hai sar aur sar-e-dār charāġh
kab kahāñ kaise parakhnā hai kisī ko ham ne
saare hālāt se rahte haiñ ḳhabar-dār charāġh
raushnī DhūñDhne sab log vahāñ jaate haiñ
ya.anī us paar añdherā hai to is paar charāġh
ḳhud hī āñdhī kī ināyat pe unheñ chhoḌ diyā
us pe phir ye bhī tamāsha hai ki be-kār charāġh
aise hote hain sar-e-sham numudar charagh
jaise Dhalte hue suraj ke azadar charagh
ek hi aag mein jalte hain yahan hum donon
mera kirdar patanga tera kirdar charagh
karbala aur bhala kis ko yahan kahte hain
nok-e-neza pe hai sar aur sar-e-dar charagh
kab kahan kaise parakhna hai kisi ko hum ne
sare haalat se rahte hain KHabar-dar charagh
raushni DhunDhne sab log wahan jate hain
yani us par andhera hai to is par charagh
KHud hi aandhi ki inayat pe unhen chhoD diya
us pe phir ye bhi tamasha hai ki be-kar charagh
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.