aise lagta hai ki jaise kuchh yahan hone ko hai
aise lagta hai ki jaise kuchh yahan hone ko hai
Mohammad Ahmad Saqi
MORE BYMohammad Ahmad Saqi
aise lagtā hai ki jaise kuchh yahāñ hone ko hai
sar uThātī ye zamīñ ab āsmāñ hone ko hai
aag to uḌ hī rahī thī āñdhiyoñ ke dosh par
ab saroñ par bhī dhueñ kā sā.ebāñ hone ko hai
ye zamīñ kuchh boltī hai kaan dhar kar to suno
is ke andar jo nihāñ hai vo ayaañ hone ko hai
maiñ adālat meñ khaḌā huuñ faisle kā muntazir
mere a.azā-e-badan kā ab bayāñ hone ko hai
kaun gadle pāniyoñ meñ tair saktā hai yahāñ
aisī mashshāqī kā ik din imtihāñ hone ko hai
khīñch to tum ne liyā merī ragoñ kā sab lahū
ab tumhārī bhī kahānī dāstāñ hone ko hai
aise lagta hai ki jaise kuchh yahan hone ko hai
sar uThati ye zamin ab aasman hone ko hai
aag to uD hi rahi thi aandhiyon ke dosh par
ab saron par bhi dhuen ka saeban hone ko hai
ye zamin kuchh bolti hai kan dhar kar to suno
is ke andar jo nihan hai wo ayan hone ko hai
main adalat mein khaDa hun faisle ka muntazir
mere aaza-e-badan ka ab bayan hone ko hai
kaun gadle paniyon mein tair sakta hai yahan
aisi mashshaqi ka ek din imtihan hone ko hai
khinch to tum ne liya meri ragon ka sab lahu
ab tumhaari bhi kahani dastan hone ko hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.