aise mahaul mein mat puchh ki kya hota hai
aise mahaul mein mat puchh ki kya hota hai
Mohammad Mustahsan Jami
MORE BYMohammad Mustahsan Jami
aise māhaul meñ mat pūchh ki kyā hotā hai
sar pe jis vaqt tirā dast-e-atā hotā hai
mil ke ho jaatī hai uljhan ka.ī logoñ se mujhe
jaise ik sher bahut baar sunā hotā hai
bāñTte phirte haiñ har lahza duāoñ ke gulāb
ham faqīroñ ko bhalā kis se gila hotā hai
mas.ala ye hai sameTe koī chhāñv kaise
apnī fitrat meñ to har peḌ ghanā hotā hai
jis ko darkār rihā.ish ho mujhe batlā.e
hujra-e-chashm hama-vaqt khulā hotā hai
maiñ vo fānūs havā jis kī azal se dushman
maiñ vo maqtal huuñ jo har vaqt sajā hotā hai
us ghaḌī shauq se maiñ raqs kiyā kartā huuñ
jab koī misra tire lab se adā hotā hai
koī jitnī bhī bachāo kī tag-o-dau kar le
vaqt kā tiir kahāñ dost ḳhatā hotā hai
aise mahaul mein mat puchh ki kya hota hai
sar pe jis waqt tera dast-e-ata hota hai
mil ke ho jati hai uljhan kai logon se mujhe
jaise ek sher bahut bar suna hota hai
banTte phirte hain har lahza duaon ke gulab
hum faqiron ko bhala kis se gila hota hai
masala ye hai sameTe koi chhanw kaise
apni fitrat mein to har peD ghana hota hai
jis ko darkar rihaish ho mujhe batlae
hujra-e-chashm hama-waqt khula hota hai
main wo fanus hawa jis ki azal se dushman
main wo maqtal hun jo har waqt saja hota hai
us ghaDi shauq se main raqs kiya karta hun
jab koi misra tere lab se ada hota hai
koi jitni bhi bachao ki tag-o-dau kar le
waqt ka tir kahan dost KHata hota hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.