aise mein zaKHm-e-dil ki bhala kya dawa mile
aise meñ zaḳhm-e-dil kī bhalā kyā davā mile
jitne masīh the sabhī qātil se jā mile
vo vaqt hai ki ġham kā chhupānā bhī hai muhāl
aañsū jo poñchhtā huuñ to dāman jalā mile
ye shahr-e-zindagī hai maiñ kaise yaqīñ karūñ
āḳhir kahīñ charāġh to jaltā huā mile
kab tak yūñhī bhaTakte phireñ rahravān-e-zīst
darvāza zindagī kā kahīñ to khulā mile
kashtī mirī shikasta sahī kaise chhoḌ duuñ
tūfāñ meñ nāḳhudā bhī jahāñ Dūbtā mile
maz.hab ke tājiroñ kā ab aalam na pūchhiye
ye bech deñ ḳhudā ko kahīñ gar ḳhudā mile
aise mein zaKHm-e-dil ki bhala kya dawa mile
jitne masih the sabhi qatil se ja mile
wo waqt hai ki gham ka chhupana bhi hai muhaal
aansu jo ponchhta hun to daman jala mile
ye shahr-e-zindagi hai main kaise yaqin karun
aaKHir kahin charagh to jalta hua mile
kab tak yunhi bhaTakte phiren rahrawan-e-zist
darwaza zindagi ka kahin to khula mile
kashti meri shikasta sahi kaise chhoD dun
tufan mein naKHuda bhi jahan Dubta mile
mazhab ke tajiron ka ab aalam na puchhiye
ye bech den KHuda ko kahin gar KHuda mile
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.