aise na bichhaD aankhon se ashkon ki tarah tu
aise na bichhaḌ āñkhoñ se ashkoñ kī tarah tū
aa lauT ke aa phir tirī yādoñ kī tarah tū
sukh-chain mirā lūTne vaale aa kisī din
mujh ko bhī churā le mirī nīñdoñ kī tarah tū
chāhā thā bahut maiñ ne bhulā duuñ tujhe lekin
jaatā hī nahīñ dil se umīdoñ kī tarah tū
muñh pher ke jaanā hai tujhe jā tirī marzī
mat ruuTh magar mujh se nasīboñ kī tarah tū
aise na bichhaD aankhon se ashkon ki tarah tu
aa lauT ke aa phir teri yaadon ki tarah tu
sukh-chain mera luTne wale aa kisi din
mujh ko bhi chura le meri nindon ki tarah tu
chaha tha bahut main ne bhula dun tujhe lekin
jata hi nahin dil se umidon ki tarah tu
munh pher ke jaana hai tujhe ja teri marzi
mat ruTh magar mujh se nasibon ki tarah tu
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.