aise nashe to karne ki aadat si ho gai
aise nashe to karne kī aadat sī ho ga.ī
ab baar baar marne kī aadat sī ho ga.ī
ranj-o-alam to chhoḌye ḳhushiyoñ meñ aaj kal
āñkhoñ meñ ashk bharne kī aadat sī ho ga.ī
marham hī ban gayā hai mire dard kā sabab
zaḳhmoñ ko'' yuuñ ubharne kī aadat sī ho ga.ī
har choT se maiñ aur nikhartā chalā gayā
mushkil meñ bhī sañvarne kī aadat sī ho ga.ī
kyā koī ās-pās hai yā hai gumāñ mujhe
yuuñ be-vajah Thaharne kī aadat sī ho ga.ī
jis raah se guzarnā kabhī nāgavār thā
us raah se guzarne kī aadat sī ho ga.ī
be-ḳhauf chal paḌe the mohabbat kī raah meñ
ab har qadam pe Darne kī aadat sī ho ga.ī
kaise chhuḌā.eñ rañg-e-mohabbat pattā nahīñ
har dil se to utarne kī aadat sī ho ga.ī
ab kaun mere dil meñ banā.egā āshiyāñ
is shahr ko ujaḌne kī aadat sī ho ga.ī
aise nashe to karne ki aadat si ho gai
ab bar bar marne ki aadat si ho gai
ranj-o-alam to chhoDye KHushiyon mein aaj kal
aankhon mein ashk bharne ki aadat si ho gai
marham hi ban gaya hai mere dard ka sabab
zaKHmon ko yun ubharne ki aadat si ho gai
har choT se main aur nikharta chala gaya
mushkil mein bhi sanwarne ki aadat si ho gai
kya koi aas-pas hai ya hai guman mujhe
yun be-wajah Thaharne ki aadat si ho gai
jis rah se guzarna kabhi nagawar tha
us rah se guzarne ki aadat si ho gai
be-KHauf chal paDe the mohabbat ki rah mein
ab har qadam pe Darne ki aadat si ho gai
kaise chhuDaen rang-e-mohabbat patta nahin
har dil se to utarne ki aadat si ho gai
ab kaun mere dil mein banaega aashiyan
is shahr ko ujaDne ki aadat si ho gai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.