aise rakhti hai hamein teri mohabbat zinda
aise rakhtī hai hameñ terī mohabbat zinda
jis tarah jism ko sāñsoñ kī harārat zinda
shauq kī raah meñ ik aisā bhī pal aatā hai
jis meñ ho jaatī hai sadiyoñ kī riyāzat zinda
roz ik ḳhauf kī āvāz pe ham uThte haiñ
roz hotī hai dil o jaañ meñ qayāmat zinda
ab bhī anjān zamīnoñ kī kashish khīñchtī hai
ab bhī shāyad hai lahū meñ kahīñ hijrat zinda
tā.at-e-jabr bahut aam huī jaatī thī
ek inkār ne kī rasm-e-baġhāvat zinda
ham to mar kar bhī na bātil ko salāmī deñge
kaise mumkin hai ki kar leñ tirī bai.at zinda
ham meñ soqrāt to koī nahīñ phir bhī 'shahbāz'
zahr pī lete haiñ rakhte haiñ rivāyat zinda
aise rakhti hai hamein teri mohabbat zinda
jis tarah jism ko sanson ki hararat zinda
shauq ki rah mein ek aisa bhi pal aata hai
jis mein ho jati hai sadiyon ki riyazat zinda
roz ek KHauf ki aawaz pe hum uThte hain
roz hoti hai dil o jaan mein qayamat zinda
ab bhi anjaan zaminon ki kashish khinchti hai
ab bhi shayad hai lahu mein kahin hijrat zinda
taat-e-jabr bahut aam hui jati thi
ek inkar ne ki rasm-e-baghawat zinda
hum to mar kar bhi na baatil ko salami denge
kaise mumkin hai ki kar len teri baiat zinda
hum mein soqraat to koi nahin phir bhi 'shahbaz'
zahr pi lete hain rakhte hain riwayat zinda
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.