aise samajhne wala nahin tha kisi tarah
aise samajhne vaalā nahīñ thā kisī tarah
so mujh ko pesh aanā paḌā dūsrī tarah
ho saktā hai agar ye kisī aur bhī tarah
kyūñkar rahe haiñ phir use ham ek hī tarah
tum aur tarah ke ho maiñ huuñ aur tarah kā
aao banā.eñ mil ke koī tīsrī tarah
ye kyā ki jaise saare kareñ vaise hī karo
kuchh bhī ho karnā chāhiye us ko na.ī tarah
sab se alag banāyā huā rasta hai mirā
maiñ ne lakīr piiTī nahīñ auroñ kī tarah
thoḌā to chāhtā hī nahīñ huuñ kisī ko maiñ
jis ko bhī chāhne lagā chāhā burī tarah
koī jo marzī kahtā phire mujh ko kyā ġharaz
maiñ apnā kaam kartā rahūñgā isī tarah
aapas meñ saarī tarheñ milā dī haiñ ‘gul-farāz'
aur is tarah banā.ī hai aur hī koī tarah
aise samajhne wala nahin tha kisi tarah
so mujh ko pesh aana paDa dusri tarah
ho sakta hai agar ye kisi aur bhi tarah
kyunkar rahe hain phir use hum ek hi tarah
tum aur tarah ke ho main hun aur tarah ka
aao banaen mil ke koi tisri tarah
ye kya ki jaise sare karen waise hi karo
kuchh bhi ho karna chahiye us ko nai tarah
sab se alag banaya hua rasta hai mera
main ne lakir piTi nahin auron ki tarah
thoDa to chahta hi nahin hun kisi ko main
jis ko bhi chahne laga chaha buri tarah
koi jo marzi kahta phire mujh ko kya gharaz
main apna kaam karta rahunga isi tarah
aapas mein sari tarhen mila di hain ‘gul-faraaz'
aur is tarah banai hai aur hi koi tarah
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.