aise wo jaane laga mujhko dilasa de kar
aise vo jaane lagā mujh ko dilāsa de kar
jaise bachche ko koī jaa.e khilaunā de kar
jo bhī aatā hai Thahartā hai chalā jaatā hai
koī ruktā hī nahīñ mujh ko sahārā de kar
saare hamrāz vafādār nahīñ hote haiñ
mujh ko samjhā hī diyā dost ne dhokā de kar
mere baabā ne bahut naaz se rakkhā mujh ko
maañ ne paalā hai mujhe muñh kā nivāla de kar
kyoñ pareshān rahā karte the vālid mere
aaj mahsūs huā ghar kā kirāya de kar
aise wo jaane laga mujh ko dilasa de kar
jaise bachche ko koi jae khilauna de kar
jo bhi aata hai Thaharta hai chala jata hai
koi rukta hi nahin mujh ko sahaara de kar
sare hamraaz wafadar nahin hote hain
mujh ko samjha hi diya dost ne dhoka de kar
mere baba ne bahut naz se rakkha mujh ko
man ne pala hai mujhe munh ka niwala de kar
kyon pareshan raha karte the walid mere
aaj mahsus hua ghar ka kiraya de kar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.