aish-agah gham-shanas raha
aish-āgāh ġham-shanās rahā
jī kabhī ḳhush kabhī udaas rahā
vaqt ne anginat libās diye
phir bhī insān be-libās rahā
us se pūchho ḳhushī ke ehsāsāt
muddatoñ jo ġhamoñ ke paas rahā
maiñ vo sahrā-e-be-sarāb huuñ jo
apne hī lab kī ban ke pyaas rahā
qalb-e-nau meñ ba-faiz-e-vahm-o-gumāñ
har yaqīñ sūrat-e-qayās rahā
hādsoñ ke hujūm meñ pis kar
ġham kā har lamha bad-havās rahā
qatl lamhoñ kā ho rahā thā magar
vaqt be-ḳhauf-o-be-hirās rahā
merā afsāna-e-hayāt 'ahmar'
ban ke har ġham kā iqtibās rahā
aish-agah gham-shanas raha
ji kabhi KHush kabhi udas raha
waqt ne anginat libas diye
phir bhi insan be-libas raha
us se puchho KHushi ke ehsasat
muddaton jo ghamon ke pas raha
main wo sahra-e-be-sarab hun jo
apne hi lab ki ban ke pyas raha
qalb-e-nau mein ba-faiz-e-wahm-o-guman
har yaqin surat-e-qayas raha
hadson ke hujum mein pis kar
gham ka har lamha bad-hawas raha
qatl lamhon ka ho raha tha magar
waqt be-KHauf-o-be-hiras raha
mera afsana-e-hayat 'ahmar'
ban ke har gham ka iqtibas raha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.