aish-e-rafta ka yahi hai wo shabistan ai dost
aish-e-rafta kā yahī hai vo shabistāñ ai dost
yahīñ ḳhvābīda thī ārām-e-dil-o-jāñ ai dost
be-ḳhabar sone meñ vo jism khulā shānoñ tak
jaise jannat kā na ho koī nigahbāñ ai dost
saaz hāthoñ meñ uThāyā tirī añgḌā.ī ne
chūḌiyāñ pahlū badalte hī ġhazal-ḳhvāñ ai dost
pesh-e-ā.īna masahrī pe khule gesū-e-nāz
duur bādal meñ koī hūr-e-pareshāñ ai dost
muḳhtalif vaz' tire husn ko malbūs ne dī
shauq ke maiñ ne tarāshe ka.ī 'unvāñ ai dost
roknā ghar tujhe jaane se ba-ḳhauf-e-hijrāñ
jāguzīñ dil meñ tire yaad azīzāñ ai dost
jo umañgoñ ko udāsī ke havāle kar de
aah vo tund-mizājī-e-buzurgāñ ai dost
naqsh hai vaqt kī peshānī pe ahd-e-rañgīñ
ham se go ruk na sakī 'umr-e-gurezāñ ai dost
aish-e-rafta ka yahi hai wo shabistan ai dost
yahin KHwabida thi aaram-e-dil-o-jaan ai dost
be-KHabar sone mein wo jism khula shanon tak
jaise jannat ka na ho koi nigahban ai dost
saz hathon mein uThaya teri angDai ne
chuDiyan pahlu badalte hi ghazal-KHwan ai dost
pesh-e-aina masahri pe khule gesu-e-naz
dur baadal mein koi hur-e-pareshan ai dost
muKHtalif waz' tere husn ko malbus ne di
shauq ke main ne tarashe kai 'unwan ai dost
rokna ghar tujhe jaane se ba-KHauf-e-hijran
jaguzin dil mein tere yaad azizan ai dost
jo umangon ko udasi ke hawale kar de
aah wo tund-mizaji-e-buzurgan ai dost
naqsh hai waqt ki peshani pe ahd-e-rangin
hum se go ruk na saki 'umr-e-gurezan ai dost
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.