aish jis ghar mein mayassar tha wo ghar yaad nahin
aish jis ghar meñ mayassar thā vo ghar yaad nahīñ
ab to vīrāne meñ suntā koī fariyād nahīñ
kaun hai vo jo tire ishq meñ barbād nahīñ
kaun furqat meñ tirī mā.il-e-fariyād nahīñ
husn be-misl thā be-misl thī har shān-e-jamāl
unheñ sau martaba dekhā hai magar yaad nahīñ
dār-e-fānī tujhe detā hai fareb-e-ta.amīr
hai ye vīrān-sarā koī ghar ābād nahīñ
tū jise chāhe use hogā do-ālam meñ uruuj
tū jise chāhe vo kaunain meñ barbād nahīñ
aish bachpan kā rakhūñ yaad maiñ kyoñ piirī meñ
jab javānī kā mujhe lutf 'umar' yaad nahīñ
aish jis ghar mein mayassar tha wo ghar yaad nahin
ab to virane mein sunta koi fariyaad nahin
kaun hai wo jo tere ishq mein barbaad nahin
kaun furqat mein teri mail-e-fariyaad nahin
husn be-misl tha be-misl thi har shan-e-jamal
unhen sau martaba dekha hai magar yaad nahin
dar-e-fani tujhe deta hai fareb-e-tamir
hai ye viran-sara koi ghar aabaad nahin
tu jise chahe use hoga do-alam mein uruj
tu jise chahe wo kaunain mein barbaad nahin
aish bachpan ka rakhun yaad main kyon piri mein
jab jawani ka mujhe lutf 'umar' yaad nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.