aish-o-ishrat sab sahi ye dam nahin to kuchh nahin
aish-o-ishrat sab sahī ye dam nahīñ to kuchh nahīñ
ek duniyā ho to kyā jab ham nahīñ to kuchh nahīñ
surmagīñ āñkhoñ meñ ashk-e-ġham nahīñ to kuchh nahīñ
dast-e-rañgīñ se mirā mātam nahīñ to kuchh nahīñ
sub.h ko shab ke satāne kā gila-shikva abas
jab pareshāñ gesū-e-barham nahīñ to kuchh nahīñ
ishq se thoḌā bahut to hai har insāñ ko lagāo
dil meñ kuchh kuchh dard kuchh kuchh ġham nahīñ to kuchh nahīñ
is kamar par is nazākat par ye sīdhī chaal kyuuñ
bal nahīñ to kuchh nahīñ kuchh ḳham nahīñ to kuchh nahīñ
us kī shoḳhī ne use ai dil chhupā rakkhā kahāñ
hashr meñ vo fitna-e-ālam nahīñ to kuchh nahīñ
milne vāloñ kā baham mil baiThnā bhī lutf hai
jamghaTe shab ko sar-e-zamzam nahīñ to kuchh nahīñ
us kī raunaq aur hai us kā asar kuchh aur hai
un kī mahfil meñ mirā mātam nahīñ to kuchh nahīñ
pyāre pyāre achchhe achchhe muñh se haañ kah de kabhī
tere sadqe ye tirī har-dam nahīñ to kuchh nahīñ
baal khole tum ne to kyā chūḌiyāñ toḌīñ to kyā
mere marne kā jo dil se ġham nahīñ to kuchh nahīñ
baat jis kī thī ga.ī saaqī vo us ke dam ke saath
jām-e-jam ho bhī to kyā jab ham nahīñ to kuchh nahīñ
phuuT kar ronā nahīñ to phuuT hī jaa.eñ 'riyāz'
kaam ke jab dīda-e-pur-nam nahīñ to kuchh nahīñ
aish-o-ishrat sab sahi ye dam nahin to kuchh nahin
ek duniya ho to kya jab hum nahin to kuchh nahin
surmagin aankhon mein ashk-e-gham nahin to kuchh nahin
dast-e-rangin se mera matam nahin to kuchh nahin
subh ko shab ke satane ka gila-shikwa abas
jab pareshan gesu-e-barham nahin to kuchh nahin
ishq se thoDa bahut to hai har insan ko lagao
dil mein kuchh kuchh dard kuchh kuchh gham nahin to kuchh nahin
is kamar par is nazakat par ye sidhi chaal kyun
bal nahin to kuchh nahin kuchh KHam nahin to kuchh nahin
us ki shoKHi ne use ai dil chhupa rakkha kahan
hashr mein wo fitna-e-alam nahin to kuchh nahin
milne walon ka baham mil baiThna bhi lutf hai
jamghaTe shab ko sar-e-zamzam nahin to kuchh nahin
us ki raunaq aur hai us ka asar kuchh aur hai
un ki mahfil mein mera matam nahin to kuchh nahin
pyare pyare achchhe achchhe munh se han kah de kabhi
tere sadqe ye teri har-dam nahin to kuchh nahin
baal khole tum ne to kya chuDiyan toDin to kya
mere marne ka jo dil se gham nahin to kuchh nahin
baat jis ki thi gai saqi wo us ke dam ke sath
jam-e-jam ho bhi to kya jab hum nahin to kuchh nahin
phuT kar rona nahin to phuT hi jaen 'riyaz'
kaam ke jab dida-e-pur-nam nahin to kuchh nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.