aisi ghaflat ki ibaadat bhi nahin hoti hai
aisī ġhaflat ki ibādat bhī nahīñ hotī hai
aur sitam ye ki nadāmat bhī nahīñ hotī hai
harf-o-ma.anī ke taqaddus ke amiiñ haiñ ham log
ham se lafzoñ kī siyāsat bhī nahīñ hotī hai
ik tire husn ne iz.hār kī jur.at baḳhshī
varna ham se ye himāqat bhī nahīñ hotī hai
TūTte juḌte haiñ jo vaqt kī añgḌā.ī par
aise rishtoñ meñ sadāqat bhī nahīñ hotī hai
tū jo mil jaa.e to hotī hai ḳhushī ham ko magar
tū na ho to tirī chāhat bhī nahīñ hotī hai
daur vo kaisā suhānā thā mire bachpan kā
ab to bachchoñ se sharārat bhī nahīñ hotī hai
ek ham haiñ ki mayassar haiñ tujhe har lamha
aur tujhe thoḌī sī fursat bhī nahīñ hotī hai
ḳhvāb aise jo na ta.abīr ke muhtāj raheñ
aise ḳhvāboñ meñ haqīqat bhī nahīñ hotī hai
jaane kis moḌ pe aa pahuñchā hai rishta apnā
ya.anī bāham to shikāyat bhī nahīñ hotī hai
yuuñ bhī vo mil nahīñ paate haiñ mahīnoñ ham se
is pe ye uzr farāġhat bhī nahīñ hotī hai
ham ne tā-umr adāvat ko nibhāyā lekin
ab ye aalam ki adāvat bhī nahīñ hotī hai
jin kā honā yā na honā rahe yaksāñ be-faiz
aise logoñ kī zarūrat bhī nahīñ hotī hai
ye alag baat vo iqrār-e-mohabbat na kareñ
hameñ iz.hār kī jur.at bhī nahīñ hotī hai
aisi ghaflat ki ibaadat bhi nahin hoti hai
aur sitam ye ki nadamat bhi nahin hoti hai
harf-o-mani ke taqaddus ke amin hain hum log
hum se lafzon ki siyasat bhi nahin hoti hai
ek tere husn ne izhaar ki jurat baKHshi
warna hum se ye himaqat bhi nahin hoti hai
TuTte juDte hain jo waqt ki angDai par
aise rishton mein sadaqat bhi nahin hoti hai
tu jo mil jae to hoti hai KHushi hum ko magar
tu na ho to teri chahat bhi nahin hoti hai
daur wo kaisa suhana tha mere bachpan ka
ab to bachchon se shararat bhi nahin hoti hai
ek hum hain ki mayassar hain tujhe har lamha
aur tujhe thoDi si fursat bhi nahin hoti hai
KHwab aise jo na tabir ke muhtaj rahen
aise KHwabon mein haqiqat bhi nahin hoti hai
jaane kis moD pe aa pahuncha hai rishta apna
yani baham to shikayat bhi nahin hoti hai
yun bhi wo mil nahin pate hain mahinon hum se
is pe ye uzr faraghat bhi nahin hoti hai
hum ne ta-umr adawat ko nibhaya lekin
ab ye aalam ki adawat bhi nahin hoti hai
jin ka hona ya na hona rahe yaksan be-faiz
aise logon ki zarurat bhi nahin hoti hai
ye alag baat wo iqrar-e-mohabbat na karen
hamein izhaar ki jurat bhi nahin hoti hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.