aisi jagah bata tu mujhe wo jahan na ho
aisī jagah batā tū mujhe vo jahāñ na ho
vahdāniyat kā us kī jahāñ par nishāñ na ho
yā-rab du'ā yahī hai mirī tujh se sub.h-o-shām
mahbūb merā mujh se kabhī bad-gumāñ na ho
terī ye baat kaise sitamgar maiñ maan luuñ
mumkin nahīñ makān jale aur dhuāñ na ho
duniyā ye ruuTh jaa.e mujhe is kā ġham nahīñ
lekin ḳhafā kabhī bhī mirī mujh se maañ na ho
tarkash meñ tiir rakhne se kuchh fā.eda nahīñ
jab tak ki apne haath meñ apnī kamāñ na ho
mā'lūm hai ye tujh ko ġhamoñ ne diyā hai saath
ai dil tū mere itnā abhī shādmāñ na ho
dār-o-madār jism kā us ke hī dam se hai
dil mubtalā-e-kashmakash-e-imtihāñ na ho
insān surḳh-rū kabhī hotā nahīñ 'hunar'
jab tak ki zindagī meñ koī imtihāñ na ho
aisi jagah bata tu mujhe wo jahan na ho
wahdaniyat ka us ki jahan par nishan na ho
ya-rab du'a yahi hai meri tujh se subh-o-sham
mahbub mera mujh se kabhi bad-guman na ho
teri ye baat kaise sitamgar main man lun
mumkin nahin makan jale aur dhuan na ho
duniya ye ruTh jae mujhe is ka gham nahin
lekin KHafa kabhi bhi meri mujh se man na ho
tarkash mein tir rakhne se kuchh faeda nahin
jab tak ki apne hath mein apni kaman na ho
ma'lum hai ye tujh ko ghamon ne diya hai sath
ai dil tu mere itna abhi shadman na ho
dar-o-madar jism ka us ke hi dam se hai
dil mubtala-e-kashmakash-e-imtihan na ho
insan surKH-ru kabhi hota nahin 'hunar'
jab tak ki zindagi mein koi imtihan na ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.