aisī karaḳht dhuup thī chehre ujaḌ ga.e
kuchh log apne jism ke andar sikuḌ ga.e
sūraj ne baḌh ke thaam liyā hai nazar kā haath
jab bhī nazar ke paañv zamīñ se ukhaḌ ga.e
lafzoñ kī top soch ke hathiyār thaam kar
aapas meñ ḳhud hī fan ke nigahbān laḌ ga.e
jab se pahan liyā hai ġhamoñ ne nayā libās
malbūs chāhatoñ ke bahut maile paḌ ga.e
mere badan meñ zahr tabassum kā ghol kar
vo kaun the jo mujh se achānak bichhaḌ ga.e
sachchā.ī ke laboñ pe rakhe us ne lab magar
kuchh log be-sabab hī 'sabā' se bigaḌ ga.e
aisi karaKHt dhup thi chehre ujaD gae
kuchh log apne jism ke andar sikuD gae
suraj ne baDh ke tham liya hai nazar ka hath
jab bhi nazar ke panw zamin se ukhaD gae
lafzon ki top soch ke hathiyar tham kar
aapas mein KHud hi fan ke nigahban laD gae
jab se pahan liya hai ghamon ne naya libas
malbus chahaton ke bahut maile paD gae
mere badan mein zahr tabassum ka ghol kar
wo kaun the jo mujh se achanak bichhaD gae
sachchai ke labon pe rakhe us ne lab magar
kuchh log be-sabab hi 'saba' se bigaD gae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.