aisi kashish hai hijr ki haalat-e-iztirab mein
aisi kashish hai hijr ki haalat-e-iztirab mein
Syed Khadime Rasul Aini
MORE BYSyed Khadime Rasul Aini
aisī kashish hai hijr kī hālat-e-iztirāb meñ
mujh ko sukūñ nahīñ milā aisā kisī rabāb meñ
sāmne us ke hech haiñ saare maze sharāb ke
un ke laboñ ke lutf se aisā huuñ faizyāb maiñ
un kī haiñ sohbateñ bhalī daulat-e-ilm mil ga.ī
aisī kabhī nahīñ milī mujh ko kisī kitāb meñ
un ke shabāb-e-husn kā kartā rahūñ mushāhida
aisī nahīñ hai chāshnī aur kisī shabāb meñ
mere raqīb-e-ḳhār ko gul se navāzā aap ne
chuuk huī hai mujh se bhī yaar ke intiḳhāb meñ
fikr-e-rasā ko miltī hai tum se chamak-damak sadā
naam tumhārā likh diyā saf.ha-e-intisāb meñ
us ko kahūñ maiñ shahd yā kahtā rahūñ zulāl use
aisī miThās 'ainī' hai un ke dahan ke aab meñ
aisi kashish hai hijr ki haalat-e-iztirab mein
mujh ko sukun nahin mila aisa kisi rabab mein
samne us ke hech hain sare maze sharab ke
un ke labon ke lutf se aisa hun faizyab main
un ki hain sohbaten bhali daulat-e-ilm mil gai
aisi kabhi nahin mili mujh ko kisi kitab mein
un ke shabab-e-husn ka karta rahun mushahida
aisi nahin hai chashni aur kisi shabab mein
mere raqib-e-KHar ko gul se nawaza aap ne
chuk hui hai mujh se bhi yar ke intiKHab mein
fikr-e-rasa ko milti hai tum se chamak-damak sada
nam tumhaara likh diya safha-e-intisab mein
us ko kahun main shahd ya kahta rahun zulal use
aisi miThas 'aini' hai un ke dahan ke aab mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.