aisi KHamoshi hai rawani mein
aisī ḳhāmoshī hai ravānī meñ
ek jangal ho jaise paanī meñ
ro paḌī haiñ samā.ateñ saarī
kuchh haqīqat to hai kahānī meñ
ham ne apnī zabān tak kho dī
dard-e-dil terī tarjumānī meñ
kyā batā.eñ ki kaise kaise bojh
ham ne Dho.e haiñ nā-tavānī meñ
saarī duniyā hī ghar sī lagtī hai
kyā suhūlat hai lā-makānī meñ
kab talak ik tumhīñ ko ro.eñ ham
aur bhī kaam hai javānī meñ
aisi KHamoshi hai rawani mein
ek jangal ho jaise pani mein
ro paDi hain samaaten sari
kuchh haqiqat to hai kahani mein
hum ne apni zaban tak kho di
dard-e-dil teri tarjumani mein
kya bataen ki kaise kaise bojh
hum ne Dhoe hain na-tawani mein
sari duniya hi ghar si lagti hai
kya suhulat hai la-makani mein
kab talak ek tumhin ko roen hum
aur bhi kaam hai jawani mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.