aisi nigah-e-lutf-o-karam mujh pe kar ki bas
aisī nigāh-e-lutf-o-karam mujh pe kar ki bas
āñkhoñ kī mai se jām-e-talab merā bhar ki bas
maiñ ne bahut talāsh kiyā aap ko magar
āḳhir maiñ aa ke baiTh gayā apne ghar ki bas
miTtī huiiñ tamām ye umda rivāyateñ
nādim huā huuñ dekh ke maiñ is qadar ki bas
ghar se nikal ke phir na kabhī aa.uuñ ghar ko maiñ
aa jaa.e raas itnā ye zauq-e-safar ki bas
jis ne bhī dekhā dekh ke hairān ho gayā
aisā dikhāyā tum ne kamāl-e-hunar ki bas
'rānā' hai dekh dekh ke insāniyat ḳhajil
is darja ho gayā hai zavāl-e-bashar ki bas
aisi nigah-e-lutf-o-karam mujh pe kar ki bas
aankhon ki mai se jam-e-talab mera bhar ki bas
main ne bahut talash kiya aap ko magar
aaKHir main aa ke baiTh gaya apne ghar ki bas
miTti huin tamam ye umda riwayaten
nadim hua hun dekh ke main is qadar ki bas
ghar se nikal ke phir na kabhi aaun ghar ko main
aa jae ras itna ye zauq-e-safar ki bas
jis ne bhi dekha dekh ke hairan ho gaya
aisa dikhaya tum ne kamal-e-hunar ki bas
'rana' hai dekh dekh ke insaniyat KHajil
is darja ho gaya hai zawal-e-bashar ki bas
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.