aisi qismat wo sunen yun mere afsane ko
aisī qismat vo suneñ yuuñ mire afsāne ko
ishq ko mil ga.ī ik chiiz qasam khāne ko
kuchh samajhtā hī nahīñ aag meñ jal jaane ko
sham.a parvāna banā detī hai parvāne ko
ātish-e-rashk na phūñke tire dīvāne ko
jalte dekhā nahīñ parvāne se parvāne ko
sham.a lahrā ke baḌhī aap lipaT jaane ko
mil ga.ī dād-e-vafā mil ga.ī parvāne ko
terī rahmat tire insāf kā muñh taktī hai
kah na de mujh se jahannum meñ chale jaane ko
ishq hī hai vo sahīfa ki hai apnī tafsīr
daḳhl is meñ na samajhne ko hai na samjhāne ko
is tarah us ne mire shīsha-e-dil ko toḌā
chhoḌ de jaan ke jaise koī paimāne ko
hashr meñ bhī na khulī aisī zabāñ band huī
aah kyā aap ne samjhā diyā dīvāne ko
maiñ vo kuchh kar ke chalā huuñ jo rukī merī zabāñ
ishq dohrā.e hamesha mire afsāne ko
abhī mahmil abhī tasvīr abhī jalva abhī tū
nazar aate haiñ ye aalam mire afsāne ko
mujh akele pe vo biitī jo zamāne pe banī
kahiye duniyā kī kahānī mire afsāne ko
kahīñ ik buuñd meñ chhalke kahīñ bhar hī na sake
koī samjhā hī na taqdīr ke paimāne ko
aah ḳhurshīd-e-qayāmat bhī hai bujhtā sā charāġh
raushnī chāhiye is dil ke siyah-ḳhāne ko
mere mashrab meñ to hai mai kī tarah ḳhuuñ bhī harām
kyā karūñ dil ke chhalakte hue paimāne ko
zarra zarra hai yahāñ TuuTe hue dil kā javāb
kahte haiñ dard kī duniyā mire dīvāne ko
huuñ vo kashtī ki huuñ maujoñ ke talātum meñ nihāñ
Duub jaane ko kahūñ maiñ ki ubhar jaane ko
aisi qismat wo sunen yun mere afsane ko
ishq ko mil gai ek chiz qasam khane ko
kuchh samajhta hi nahin aag mein jal jaane ko
shama parwana bana deti hai parwane ko
aatish-e-rashk na phunke tere diwane ko
jalte dekha nahin parwane se parwane ko
shama lahra ke baDhi aap lipaT jaane ko
mil gai dad-e-wafa mil gai parwane ko
teri rahmat tere insaf ka munh takti hai
kah na de mujh se jahannum mein chale jaane ko
ishq hi hai wo sahifa ki hai apni tafsir
daKHl is mein na samajhne ko hai na samjhane ko
is tarah us ne mere shisha-e-dil ko toDa
chhoD de jaan ke jaise koi paimane ko
hashr mein bhi na khuli aisi zaban band hui
aah kya aap ne samjha diya diwane ko
main wo kuchh kar ke chala hun jo ruki meri zaban
ishq dohrae hamesha mere afsane ko
abhi mahmil abhi taswir abhi jalwa abhi tu
nazar aate hain ye aalam mere afsane ko
mujh akele pe wo biti jo zamane pe bani
kahiye duniya ki kahani mere afsane ko
kahin ek bund mein chhalke kahin bhar hi na sake
koi samjha hi na taqdir ke paimane ko
aah KHurshid-e-qayamat bhi hai bujhta sa charagh
raushni chahiye is dil ke siyah-KHane ko
mere mashrab mein to hai mai ki tarah KHun bhi haram
kya karun dil ke chhalakte hue paimane ko
zarra zarra hai yahan TuTe hue dil ka jawab
kahte hain dard ki duniya mere diwane ko
hun wo kashti ki hun maujon ke talatum mein nihan
Dub jaane ko kahun main ki ubhar jaane ko
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.