aisi Thahri hai rut KHizaon ki
aisī Thahrī hai rut ḳhizāoñ kī
ham ko hasrat rahī hai chhāñv kī
dil kī duniyā ujaaḌ kar insāñ
khoj kartā phire ḳhalāoñ kī
baam par dekh kar parindoñ ko
yaad aa.ī hai phir se gaañv kī
goliyoñ kī sadā.eñ sunte hī
dhaḌkaneñ tham ga.ī haiñ maaoñ kī
kis ko fursat ki dāstāñ likkhe
siskiyāñ le rahī havāoñ kī
āyat-e-vasl dam karo is par
le ke miTTī kisī ke paañv kī
dil ke gumbad meñ qaid hai 'āsif'
guuñj bhūlī huī sadāoñ kī
aisi Thahri hai rut KHizaon ki
hum ko hasrat rahi hai chhanw ki
dil ki duniya ujaD kar insan
khoj karta phire KHalaon ki
baam par dekh kar parindon ko
yaad aai hai phir se ganw ki
goliyon ki sadaen sunte hi
dhaDkanen tham gai hain maon ki
kis ko fursat ki dastan likkhe
siskiyan le rahi hawaon ki
aayat-e-wasl dam karo is par
le ke miTTi kisi ke panw ki
dil ke gumbad mein qaid hai 'asif'
gunj bhuli hui sadaon ki
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.