aisi thi aag waqt ki rishte bhi jal gae
aisī thī aag vaqt kī rishte bhī jal ga.e
ābā.ī rakh-rakhāv ke qisse bhī jal ga.e
jismoñ meñ kholtā hī rahā āgahī kā ḳhuun
tapte hue ḳhayāl meñ lahje bhī jal ga.e
gahrī riyāzatoñ se maiñ sūraj-numā huā
phir yuuñ huā ki ḳhuun ke rishte bhī chal ga.e
vo kyā gayā ki chaar sū chingāriyāñ haiñ ab
aurāq par saje hue sapne bhī jal ga.e
talḳhī bhare mizāj se chāhat jhulas ga.ī
apnoñ se ab milāp ke jazbe bhī jal ga.e
aisi thi aag waqt ki rishte bhi jal gae
aabai rakh-rakhaw ke qisse bhi jal gae
jismon mein kholta hi raha aagahi ka KHun
tapte hue KHayal mein lahje bhi jal gae
gahri riyazaton se main suraj-numa hua
phir yun hua ki KHun ke rishte bhi chal gae
wo kya gaya ki chaar su chingariyan hain ab
auraq par saje hue sapne bhi jal gae
talKHi bhare mizaj se chahat jhulas gai
apnon se ab milap ke jazbe bhi jal gae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.