ajab aaram hai jis ne thakan se chur kar Dala
ajab aaram hai jis ne thakan se chur kar Dala
Mohammad Iftikharul Haq Samaj
MORE BYMohammad Iftikharul Haq Samaj
ajab ārām hai jis ne thakan se chuur kar Daalā
safar kī tishnagī se jism ko māmūr kar Daalā
usī ne lā-makāñ kī tīrgī ko irtiqā baḳhshā
makāñ ko ek din jis ne achānak nuur kar Daalā
taḳhayyul ko nazar aane lage the chaak lafzoñ ke
shikasta pairahan sālim badan se duur kar Daalā
kināre haath malte rah ga.e dariyā ke paanī meñ
bahut ghul-mil ga.e jis se usī ne duur kar Daalā
zamāna munharif hone lagā kohna rivāyat se
huval-haq bhī kahā jis ne use mansūr kar Daalā
guzarte vaqt ne Tāñke lagā.e mere zaḳhmoñ ko
rukā kuchh soch kar aur phir unheñ nāsūr kar Daalā
utar kar sat.h se gahrā.ī meñ rishte na.e DhūñDūñ
samundar kī rifāqat ne mujhe majbūr kar Daalā
ajab aaram hai jis ne thakan se chur kar Dala
safar ki tishnagi se jism ko mamur kar Dala
usi ne la-makan ki tirgi ko irtiqa baKHsha
makan ko ek din jis ne achanak nur kar Dala
taKHayyul ko nazar aane lage the chaak lafzon ke
shikasta pairahan salim badan se dur kar Dala
kinare hath malte rah gae dariya ke pani mein
bahut ghul-mil gae jis se usi ne dur kar Dala
zamana munharif hone laga kohna riwayat se
huwal-haq bhi kaha jis ne use mansur kar Dala
guzarte waqt ne Tanke lagae mere zaKHmon ko
ruka kuchh soch kar aur phir unhen nasur kar Dala
utar kar sath se gahrai mein rishte nae DhunDun
samundar ki rifaqat ne mujhe majbur kar Dala
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.