ajab ajib gham-e-ehtimal rakhte hue
'ajab 'ajīb ġham-e-ehtimāl rakhte hue
kisī kā ḳhvāb kisī kā ḳhayāl rakhte hue
anā bhī koh-e-girāñ kī tarah hai phir darpesh
tire huzūr talab kā savāl rakhte hue
koī ḳhazīna-e-rāhat na apne kaam aayā
darāz-e-dil meñ zarā sā malāl rakhte hue
maiñ āftāb huuñ lekin ik e'timād ke saath
chamak rahī huuñ maiñ ranj-e-zavāl rakhte hue
tamām 'umr to rakhnī nahīñ ye ranjish-e-dil
ye soch letā vo shīshe meñ baal rakhte hue
'ajab 'ajib gham-e-ehtimal rakhte hue
kisi ka KHwab kisi ka KHayal rakhte hue
ana bhi koh-e-giran ki tarah hai phir darpesh
tere huzur talab ka sawal rakhte hue
koi KHazina-e-rahat na apne kaam aaya
daraaz-e-dil mein zara sa malal rakhte hue
main aaftab hun lekin ek e'timad ke sath
chamak rahi hun main ranj-e-zawal rakhte hue
tamam 'umr to rakhni nahin ye ranjish-e-dil
ye soch leta wo shishe mein baal rakhte hue
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.