ajab andheri raat ka nazara tha
'ajab añdherī raat kā nazāra thā
zamīn aañkh thī falak sitāra thā
vo kaun haath hogā jis ne pahlī baar
charāġh ūñche taaq se utārā thā
jo sirf ḳhushkiyoñ ke rahne vaale the
samundar un kā āḳhirī sahārā thā
maiñ pāniyoñ ke pahle marhale talak
jahāñ pe vo thā tīsrā kināra thā
jalī thiiñ sirf chaar chhe 'imārateñ
lapeT meñ agarche shahr saarā thā
vahī makān jis ke baam par kabhī
ik aa.ine kā 'aks be-sahārā thā
vahī darīcha jis kī chhāñv meñ kabhī
maiñ apnī saarī kā.enāt haarā thā
vahī jagah hai jis jagah tujhe kabhī
tire purāne naam se pukārā thā
magar kise batā.eñ kaun mānegā
vo ḳhvāb raat aañkh meñ dobāra thā
phir ik safar ke baa'd dūsrā safar
ye baat mānñe kā kis ko yaarā thā
phir ek 'umr bītne ke bāvajūd
vahīñ khaḌā thā maiñ vahī nazāra thā
'ajab andheri raat ka nazara tha
zamin aankh thi falak sitara tha
wo kaun hath hoga jis ne pahli bar
charagh unche taq se utara tha
jo sirf KHushkiyon ke rahne wale the
samundar un ka aaKHiri sahaara tha
main paniyon ke pahle marhale talak
jahan pe wo tha tisra kinara tha
jali thin sirf chaar chhe 'imaraten
lapeT mein agarche shahr sara tha
wahi makan jis ke baam par kabhi
ek aaine ka 'aks be-sahaara tha
wahi daricha jis ki chhanw mein kabhi
main apni sari kaenat haara tha
wahi jagah hai jis jagah tujhe kabhi
tere purane nam se pukara tha
magar kise bataen kaun manega
wo KHwab raat aankh mein dobara tha
phir ek safar ke ba'd dusra safar
ye baat manne ka kis ko yara tha
phir ek 'umr bitne ke bawajud
wahin khaDa tha main wahi nazara tha
- Book : Akelepan Ki Intiha (Pg. 61)
- Author : Jamal Ehsani
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.