ajab apni haalat ye hum dekhte hain
ajab apni haalat ye hum dekhte hain
Rana Khalid Mahmood Qaiser
MORE BYRana Khalid Mahmood Qaiser
'ajab apnī hālat ye ham dekhte haiñ
ki āñkhoñ ko har lamha nam dekhte haiñ
lagā.eñ to kyā aisī duniyā se dil ham
musalsal jahāñ ġham pe ġham dekhte haiñ
daraḳhtoñ samundar havā aur falak par
'ajab us kā jāh-o-hasham dekhte haiñ
jo rahtā hai shah-rag meñ apnī usī ko
na tum dekhte ho na ham dekhte haiñ
ham apne chaman-zār-e-hastī pe ik din
sitam-zār-e-mulk-e-‘adam dekhte haiñ
vo nā-mehrbāñ mehrbāñ ho gayā hai
qadam do qadam chal ke ham dekhte haiñ
nahīñ dekhte haiñ tire ḳhvāb jab ham
to phir rāh-e-mulk-e-‘adam dekhte haiñ
ulajhte haiñ jab bhī masā.il meñ 'qaisar'
to us zulf ke pech-o-ḳham dekhte haiñ
'ajab apni haalat ye hum dekhte hain
ki aankhon ko har lamha nam dekhte hain
lagaen to kya aisi duniya se dil hum
musalsal jahan gham pe gham dekhte hain
daraKHton samundar hawa aur falak par
'ajab us ka jah-o-hasham dekhte hain
jo rahta hai shah-rag mein apni usi ko
na tum dekhte ho na hum dekhte hain
hum apne chaman-zar-e-hasti pe ek din
sitam-zar-e-mulk-e-‘adam dekhte hain
wo na-mehrban mehrban ho gaya hai
qadam do qadam chal ke hum dekhte hain
nahin dekhte hain tere KHwab jab hum
to phir rah-e-mulk-e-‘adam dekhte hain
ulajhte hain jab bhi masail mein 'qaisar'
to us zulf ke pech-o-KHam dekhte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.