ajab bigDe muqaddar ban gae hain
ajab bigḌe muqaddar ban ga.e haiñ
jo dariyā the samundar ban ga.e haiñ
zamīñ se uḌ ke zarre āsmāñ par
mah-o-parvīn-o-aḳhtar ban ga.e haiñ
sar-e-lauh-e-tasavvur kaise kaise
adhūre naqsh paikar ban ga.e haiñ
hameñ baḳhshī hai narmī mausamoñ ne
magar kuchh log patthar ban ga.e haiñ
milā hai yuuñ hameñ ġham kā ḳhazāna
hamāre ashk gauhar ban ga.e haiñ
shab-e-ġham bhūle-bisre chand chehre
charāġh-e-qalb-e-muztar ban ga.e haiñ
unheñ kyā ḳhauf ho 'shāhid' ḳhudā kā
ḳhudā jo is zamīñ par ban ga.e haiñ
ajab bigDe muqaddar ban gae hain
jo dariya the samundar ban gae hain
zamin se uD ke zarre aasman par
mah-o-parwin-o-aKHtar ban gae hain
sar-e-lauh-e-tasawwur kaise kaise
adhure naqsh paikar ban gae hain
hamein baKHshi hai narmi mausamon ne
magar kuchh log patthar ban gae hain
mila hai yun hamein gham ka KHazana
hamare ashk gauhar ban gae hain
shab-e-gham bhule-bisre chand chehre
charagh-e-qalb-e-muztar ban gae hain
unhen kya KHauf ho 'shahid' KHuda ka
KHuda jo is zamin par ban gae hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.