ajab darpesh ab ke masala hai
ajab darpesh ab ke mas.ala hai
vo mere ḳhvāb mujh se māñgtā hai
mujhe ummīd to hai ḳhatm hogā
diloñ ke darmiyāñ jo fāsla hai
lagā do phir nayā ik zaḳhm dil par
purānā zaḳhm kab kā bhar chukā hai
ye dil masrūf hai kuchh DhūñDne meñ
magar kyā chiiz pāgal DhūñDhtā hai
bahut kuchh jaan kar ḳhāmosh rahnā
mirā ik sochā samjhā faisla hai
chalo DhūñDeñ koī ik aur duniyā
ab is duniyā se dil uktā gayā hai
ajab darpesh ab ke masala hai
wo mere KHwab mujh se mangta hai
mujhe ummid to hai KHatm hoga
dilon ke darmiyan jo fasla hai
laga do phir naya ek zaKHm dil par
purana zaKHm kab ka bhar chuka hai
ye dil masruf hai kuchh DhunDne mein
magar kya chiz pagal DhunDhta hai
bahut kuchh jaan kar KHamosh rahna
mera ek socha samjha faisla hai
chalo DhunDen koi ek aur duniya
ab is duniya se dil ukta gaya hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.