ajab dekha hai manzar daere mein
ajab dekhā hai manzar dā.ere meñ
simaT aayā samundar dā.ere meñ
kahīñ to ḳhatm ho kaisā safar hai
phirā huuñ zindagī bhar dā.ere meñ
tū fāteh hai khule maidāñ kā maanā
khulegā terā jauhar dā.ere meñ
tū merī aañkh se dariyā churā le
maiñ lā.ūñgā samundar dā.ere meñ
maiñ terā vaqt huuñ mat rok mujh ko
maiñ tere saath huuñ har dā.ere meñ
ai mere ham-nafas likkhā gayā hai
tirā merā muqaddar dā.ere meñ
mujhe TukḌoñ meñ bāñTā jā rahā hai
bapā hai ek mahshar dā.ere meñ
maiñ jis kī khoj meñ 'ausāf' gum huuñ
vo aayā hai barābar dā.ere meñ
ajab dekha hai manzar daere mein
simaT aaya samundar daere mein
kahin to KHatm ho kaisa safar hai
phira hun zindagi bhar daere mein
tu fateh hai khule maidan ka mana
khulega tera jauhar daere mein
tu meri aankh se dariya chura le
main launga samundar daere mein
main tera waqt hun mat rok mujh ko
main tere sath hun har daere mein
ai mere ham-nafas likkha gaya hai
tera mera muqaddar daere mein
mujhe TukDon mein banTa ja raha hai
bapa hai ek mahshar daere mein
main jis ki khoj mein 'ausaf' gum hun
wo aaya hai barabar daere mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.