ajab hasrat se takte hain nagar ke band dar mujhko
ajab hasrat se takte haiñ nagar ke band dar mujh ko
chalā jaatā huuñ le jaatī hai tanhā.ī jidhar mujh ko
samajhte haiñ vo leader yā koī darvesh-e-mastāna
koī khīñche idhar mujh ko koī khīñche udhar mujh ko
kyoñ ik manzil pe Thahrā huuñ hai ye isrār be-ma.anī
koī mujh se to pūchhe āḳhirash jaanā kidhar mujh ko
maiñ kitnī duur aa pahuñchā huuñ andāze se kyā hāsil
sadā lagtī hai ḳhāmoshī bulā.e laakh ghar mujh ko
maiñ sāda-lauh maiñ nā-vāqif-e-jurm-o-sazā phir bhī
na jaane kis liye DhūñDe hai ye saarā nagar mujh ko
ajab hasrat se takte hain nagar ke band dar mujh ko
chala jata hun le jati hai tanhai jidhar mujh ko
samajhte hain wo leader ya koi darwesh-e-mastana
koi khinche idhar mujh ko koi khinche udhar mujh ko
kyon ek manzil pe Thahra hun hai ye israr be-mani
koi mujh se to puchhe aaKHirash jaana kidhar mujh ko
main kitni dur aa pahuncha hun andaze se kya hasil
sada lagti hai KHamoshi bulae lakh ghar mujh ko
main sada-lauh main na-waqif-e-jurm-o-saza phir bhi
na jaane kis liye DhunDe hai ye sara nagar mujh ko
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.