ajab hiras ka manzar tamam shahr mein tha
'ajab hirās kā manzar tamām shahr meñ thā
har ek shaḳhs ghirā āñdhiy.oñ ke qahr meñ thā
ubharte Dūbte manzar rahe nigāhoñ meñ
maiñ kin badalte hue mausamoñ ke shahr meñ thā
tamām 'umr rihā.ī kisī tarah na milī
ghirā huā maiñ 'ajab āgahī ke qahr meñ thā
milā na kuchh bhī mujhe saarā paḌh gayā dīvān
ye aur baat har ik she'r us kā bahr meñ thā
vo āhaTeñ thiiñ 'qamar' us ke narm qadmoñ kī
ki ghunghrū kā tarannum havā kī lahr meñ thā
'ajab hiras ka manzar tamam shahr mein tha
har ek shaKHs ghira aandhiyon ke qahr mein tha
ubharte Dubte manzar rahe nigahon mein
main kin badalte hue mausamon ke shahr mein tha
tamam 'umr rihai kisi tarah na mili
ghira hua main 'ajab aagahi ke qahr mein tha
mila na kuchh bhi mujhe sara paDh gaya diwan
ye aur baat har ek she'r us ka bahr mein tha
wo aahaTen thin 'qamar' us ke narm qadmon ki
ki ghunghru ka tarannum hawa ki lahr mein tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.