ajab hun main ki jo KHud dard-e-sar banata hun
ajab huuñ maiñ ki jo ḳhud dard-e-sar banātā huuñ
makān ban nahīñ saktā maiñ ghar banātā huuñ
utārtā huuñ maiñ vahshat varaq pe pahle phir
jo rañg udāsī kā bhartā huuñ Dar banātā huuñ
uḌānā maiñ ne hai ūñchī uḌaan shāhīñ ko
to fikr-o-fan se maiñ bhī bāl-o-par banātā huuñ
kabhī to kuuch hī karnā hai mujh ko duniyā se
to phir maiñ kis liye yaañ mustaqar banātā huuñ
kashīd kartā huuñ maiñ bhī kisī tamannā ko
gumāñ tarāshtā huuñ dard-e-sar banātā huuñ
maiñ ḳhud ko Dasne lagā huuñ kahānī gar 'hamza'
maiñ ḳhud ko phir se yahāñ maar kar banātā huuñ
ajab hun main ki jo KHud dard-e-sar banata hun
makan ban nahin sakta main ghar banata hun
utarta hun main wahshat waraq pe pahle phir
jo rang udasi ka bharta hun Dar banata hun
uDana main ne hai unchi uDan shahin ko
to fikr-o-fan se main bhi baal-o-par banata hun
kabhi to kuch hi karna hai mujh ko duniya se
to phir main kis liye yan mustaqar banata hun
kashid karta hun main bhi kisi tamanna ko
guman tarashta hun dard-e-sar banata hun
main KHud ko Dasne laga hun kahani gar 'hamza'
main KHud ko phir se yahan mar kar banata hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.